Pait Dard – Stomach Pain

1,720.00$

Category:
Guaranteed Safe Checkout

Pait K Kuch Masail Asy Bhe Hoty Hain Jin Ki Tashkhees Aam Tor Par Doctor Bhe Nhe Kar Paty. Doctor Hazrat Routine Ki Adwiyaat Dety Rehty Hain Jiski Waja Sy Maida Mazeed Kharab Ho Kar Kamzor Hona Shuru Ho Jata Hai Or Baaz Okaat To Hum Khud Bhe La Ilmi Ki Waja Sy Asi Ghizain Istemal Kar Lety Hain Jo K Maidy K Lye Nuqsaan Deh Sabit Hoti Hain

PAIT DARD KI WAJUHAT (CAUSES OF STOMACH PAIN)

Yahan Hum Pait Dard Ki Chand Bari Wajuhaat Or Un Sy Hony Waaly Amraz Py Roshni Dalty Hain

1. Gluten Waaly Khany

Agar Aapko Pait Dard Rehti Hai Or Pait Main Gas Bharny K Sath Sath Paichish Ka Bhe Masla Dairpaish Hai To Ye Is Baat Ka Ishara Hai Ke Aapko Gluten Allergy (Celiac Disease) Hai. Is Bemari Ka Baqaida Ilaj Hona Bohat Zaruri Hai.

Qudarti Tor Par Gluten Tamam Anaaj Or Ajnaas Main Paya Jata Hai, Maslan Gandam, Dalya, Or Suji In Main Gluten Ki Miqdar Baqadry Dusry Anaaj Or Ajnas K Ziyada Hoti Hai. Kuch Logon Ko Gluten Sy Allergy Ho Jati Hai Jiski Waja Sy Pait Phoolna Shuru Ho Jata Hai Or Kuch Ko Pait Main Shadeed Dard Or Paichish Ki Alamat Shuru Ho Jati Hain. Aam Tor Par Pait Dard Gas Ki Wajah Sy Bhe Hoti Hai Jis Ke Liye Gas Ka Ilaj Intehai Mujarrab Hai.

2. Fiber Waaly Khany

Jin Logon Ko Qabz Ka Masla Hota Hai Un Logon Ko Aksar Muaalij Hazraat Fiber Waly Khany Tajweez Karty Hain. Jab K Wo Mareez Jin Ko Halki Qabz K Sath Bar Bar Pakhana Ki Hajat Hoti Hai Or Pait Main Dard Hota Hai Or Gas Rehti Hai Unky Lye Fiber Waly Khany Bohat He Nuqsaan Pait Dard.

3. Choti Aant Main Bacteria

Agar Choti Aant Main Bacteria Paida Ho Jaye Tab Bhe Pait Dard (Stomach Pain) Jesa Mehsus Hota Hai Or Is Main Darj Zel Bemariyan Aap Ko Gher Sakti Hain;

  • Pait Main Mustaqil Dard Rehna
  • Wazan Main Kami
  • Gas Ka Masla
  • Khoon Ki Kami
  • Neend Ki Ziyadati
  • Jismani Thakawat

Ye Bemari Antibiotics Adwiyaat K Istemal Sy Theek Ho Sakti Hai, Lekin Iski Darust Tashkhees K Lye Kuch Test Kiye Jaaty Hain Jin K Baad He Apka Mualij Apko Behtar Tariqa E Ilaj Tajweez Karta Hai.

4. Pitta (Bladder) K Masail

Baaz Okaat Pitty Sy Nikalny Waly Ghair Zaroori Mawad Ki Waja Sy Pait Main Dard Or Gas Jesy Masail Paida Ho Jaaty Hain. Agar Hamara Pitta Tezabi Maada Kharij Karny Lagy To Pait Main Dard Rehny Lagti Hai Or Dekha Gaya Hai K Ye Masla Aksar Raat K Waqt Paish Ata Hai. Mareez Ko Tezabiyat Sy Bharpoor Dikaar Aana Bhe Isi Bemari Ki Alamaat Main Sy Aik Hai.

5. Aant Ki Sozish

Agar Apka Wazan Kam Hogaya Hai Or Pakhana Karty Hue Pait Main Dard Mehsus Hoti Hai Or Pakhana Patla Ata Hai To Ye Is Baat Ki Alamat Hai K Aapki Aant Main Sozish Hai. Aant Aapky Khany Main Mojud Pani Ko Sahi Tarha Sy Jazab Nhe Kar Pati Or Pakhana Bohat Patla Ho Jata Hai. Ye Bemari Aksar Cigarette Peeny Waly Hazraat Main Dekhny Main Ati Hai. Ye Bemari Fori Tor Par Mualij Ki Tawaju Main Lain.

Scroll to Top